Apne Talent Se Online Paise Kaise Kamaye 5 Badhiya Tarike
Apne Talent Se Online Paise Kaise Kamaye 5 Badhiya Tarike
Hello friends mera naam pramod hai. Meri ye Support Me India par pahli Guest Post hai. I hope ki aap logo ko ye post pasnd aayegi. To chliye jante hai apne talent par internet se paise kamane ki 5 best tips ke bare me.
Aaj internet bahut hi common ho gaya hai. Har koi is network se sari duniya se juda reh sakta hai. Har koi kuch na kuch internet par karta rahta hai. Jaise ki facebook, google+, twitter etc. social media par time kharab karta hai. To iss se acha hai ki kuch kam hi kar liya jaye internet Se.
- Ji ha dosto koi bhi internet se paisa kama sakta hai. Or kai log hai jo internet se bahut paise ghar baithe kama rahe hai. Example ke liye aap support me india ko hi le lo iss blog par hum 50k rupee se jyada kama rahe hai. To kyu na aap bhi apne talents se paise kama le.
Apne Talent Se Online Paise Kaise Kamaye 5 Best Important Tips
Aaj mai aapko kuch tips btaunga jin se aap monthly hajaro rupee kama sakte ho. Wo bhi bina kisi ki nuakri kiye apne dam par. To ab jante hai ki internet se apne talent par achi kamai kaise kar Sakte hai. Chaliye jan lete hai wo 5 best tips jin se hum apne talent se paise kama sakte hai.
1. Apni Books Online Sell Kar Sakte Hai:
Agar aapko likhna pasnd hai or khud ki book publish karwane ke bare me soch rhe hai to is me internet aapki help kar sakta hai. Amazon.Com ye website aapke Iiyek free service deti hai. Kendal Direct Publishing name ki is service ki help se koi bhi kendal book store par apne hisaab se books ki price select kar ke. khud ki books publish karwa sakta hai. or jaisa ki upar maine btaya hai ki ye free service deti hai to ye humare liye free hai. hume ek bhi paisa nahi dena padega.
2. Online Tution Pada Kar:
Agar aap ki kisi khash subject par achi pakad hai or aapko padhane ka anubhaw hai to aap Tutorvista.Co ya fir2tion.net in sites par ja sakte ho. In sites par ja kar aapko sing-up karna hai or apni jankari dal kar log in karna hai. Itna karne ke bad ye site aap ki information ko active kar leti hai but khyaal rahe ki apni real information hi dal kar is me sing up kare. Jisse student aap se tuition ke liye contact kar sakte hai.
3. Google Adsness Ads Blog Me Laga Kar:
Aap logo ne google adsense ka naam to suna hi hoga jo ki google ki advertisement site hai jo hume apne blog par ads dikhane ke paise deti hai. Ye internet par kamai karne ka ek bahut acha tarika hai. Google adSenses ki help se blog or website par hum is ke ads laga ke paisa kama sakte hai. Examply support me india ki income bhi adsense se hi hoti hai. Agar aap bhi chahate ho ki aap bhi blogging kar ke apne talent se money earn kare to ye aap bhi kar sakte ho or hajaro rupee monthly kama sakte ho.
But google adsense banane se pahle aapko blog create karne hota hai or agar aapne abhi tak apna blog nahi banaya hai to pahl aap Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post padh kar blogspot par apna free blog bana le. Uske bad aapko adsense account kab banana hai uski jankari ke liye Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare – Approved Tips post me di gayi jankari padhiye.
4. YouTube Par Video Upload Kar Ke:
You Tube se aaj lakho loge paisa kama rahe hai or ye paisa kamane ka sabse fast tarika bhi hai. Is par hume jyada hard work bhi nahi krna padta hai. Bas youtube par channel bana kar apne dwara banaye video ko youtube par upload karna hota hai. Aap kuch hi dino me isse hajaro rupees kama sakte hai. Isme aapko video par show hone wale ads par click hone ke paise milte hai. Youtube se paise kamane ki adhik jankari ke liye aap YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi post padhe.
5. Photos and Logo Sell Kar Ke Paise Kama Sakte Hai:
Agar aapko Photography ka shokh hai or sath me designing ka to aap apne is talent ke jariye paisa kama sakte hai. aap apni phostos or logo ko online sell kar sakte hai. Aysi bahut sari website hai jo aapki photos ko kharidti hai. Aapko mai kuch sites ke name bta rha hu jo aap se aapke photos khridegi. Or Agar aapki photos kisi visiter ko achi lagi to ye site aapKo 100% me se 15% benefit apne pass rakh kar 85% paise aapko de degi. Online photos sell karne ki sites hai Shutterpoint.com, shutterstock.com or istockphoto.com jin par ja kar aapko sing-up karna hai or apni details deni hoti hai.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
All Net Tip