Contact

Computer Ke Bare Me 10 Jhooti Baatein – Janiye Hindi Me

Computer Ke Bare Me 10 Jhooti Baatein – Janiye Hindi Me


Computer Aaj humari jarurat ban gaya hai. humare 70% kam computer se hote hai. actually aaj ki duniya ko computer ki duniya kahna ajib nahi hoga. kyoki aaj computer ne duniya ko puri tarah se badal kar rakh diya hai. ayse me sabko computer ke bare me basic jankari honi chahiye. In this article me mai aapko computer ke bare me kuch aysi bate bta raha hu, jinhe sari duniya sach manti hai. but wo sach nahi hoti sirf logo ka bharm hota hai.
Computer Ke Bare Me 10 Jhooti Baatein
Computer se sambandhit bahut si aysi galat dharnaye hai. jo sach nahi hoti hai log fir bhi un par yakin karte hai. isse pahle bhi mai mobile ke bare me  post me bta chuka hu. chaliye aaj computer ke bare me bhi kuch bate jan lete hai.
Actually jin logo ko computer ke bare me jankari nahi hoti hai. wo easily computer me bare me faily afwao par yakin kar lete hai. is tarah ye jhoothi bate sab tak pahuch jati hai. or log inko try kiye bagair dusro ke kahe anusar wishwas kar lete hai. aayiye jante hai computer ke bare me aysi hi 10 jhoothi bato ke bare  

Computer Ke Bare Me 10 Jhooti Baatein

Computer se judi in 10 bato ko sab log sach mante hai hai magar asal (real) me ye sach nahi hoti hai. actually ye afwaye hum jaise hi udate hai or ye afwaye jab popular ho jati hai to computer ki jankari rakhne wale person bhi in par yakin kar lete hai.
1. Computer Purana Hone Ke Bad Slow Chalta Hai
Old computer does not slow

Bahut se log mante hai ki jab computer ya laptop purana ho jata hai to wo slow chalne lagta hai. uski speed slow ho jati hai. isi bat ko follow karke log ye soch kar apne PC ko badal kar naya computer kharid lete hai ki ab ye koi kam ka nahi hai. ab to ye purana ho chuka hai.
Sach Kya Hai : Computer ki slow speed hona computer ke purane hone par depend nahi karta. computer ke slow hone ke dusre karan hote hai. jinme se kuch ke bare me hume pata bhi nahi hota hai. computer ke slow chalne ki sabse badi wajah memory (Hard Disk) hoti hai. jab hard drive me adhik data save ho jati hai to computer me pryapt jagah nahi hoti hai. isse computer ki booting badh jati hai or wares ko play hone me problem hoti hai. yaha mai aapko computer ke slow hone ki kuch important wajah bta raha hu.
  1. Computer me pryapt memory nahi hona. computer ki hard disk me kam se kam 300-500 MB khali chahiye.
  2. Computer ko mahino tak scan nahi karna or computer ki history caching delete nahi karna. aap windows+R ki button daba kar %temp% likh kar computer ki history caching delete kar sakte ho.
  3. Computer me anti virus nahi hona. anti virus na hone par computer me virus aa jate hai jo computer ki speed kam kar dete hai. aapka pc kharab bhi kar sakte hai.
  4. Computer ki safai nahi karna. computer par jo dhul jam jati hai uski wajah se computer ki processing slow hoti hai. isliye CPC ko clearly rakhe use samay samy par saf karte rahe.
  5. Computer chalane wali jagah sahi na hona. jaha bhi aap computer use karte ho wo jagah na jyada garm honi chahiye or na jyada thandi. yad rahe AC wale room me computer use na kare. computer ke liye medium watavarn hona chahiye.
2. Laptop Ki Battery Ko Full Dish Hone Par Hi Charge Kare
Charge Laptop Battery After Full Dish
Bahut se users mante hai ki laptop ki battery ko puri tarah low hone par hi fir se charge karna chahiye. isse pahle charge karne par battery jaldi kharab ho jayegi. so laptop ki battery jab bilkul dish (0% to 10%) ho jaye tabhi charge karni chahiye.
Sach Kya Hai : Laptop ki battery ko aap jab chaho charge kar sakte ho. originol battery par isse koi fark nahi padta hai or na hi battery kharab hoti hai. halaki purane laptop ki battery jyada charge karne se kharab ho jati thi or unhe laptop ke chalu hone par bhi charge me nahi lahi lagate the. but ab laptop me aysi technology istemal ki jati hai ki aap charge hote time bhi laptop par kam kar sakte ho.
3. Laptop Ki Battery Ko Jyada Samay Tak Charge Karne Se Battery Kharab Ho Jati Hai
Don't Charge Full Laptop Battery
Kai log mante hai ki laptop ki battery ko jyada karne se battery jaldi kharab ho jati hai or isse battery me wisfot hone ka dar bhi rahta hai. my means agar aap rat me llaptop ko charge me laga kar so jate ho to battery jyada charge hone ke bad fat bhi sakti hai. isliye laptop ki battery ko jyada time tak charge na kare.
Sach Kya Hai : Ye bat pahle sahi thi but aaj kal laptop me aysi battery aati hai. jinme aysi technology hoti hai ki battery jyada chahrge ho hi nahi sakti hai. aap agar laptop ko jyada charge bhi karoge to battery jab full charge ho jayegi to charge honi hi band ho jayegi. aapne new laptop me dekha bhi hoga ki jab battery puri tarah charge ho jati hai to laptop uski notification deta hai or charger se jude hone ke bad bhi charging band ho jati hai.
4. Anti Virus Hone Par Virus Nahi Aa Sakte
Anti Virus Keeled All Virus
Ye bat lagbhag 80% computer user mante hai ki agar computer me anti-virus intall hoga to computer me virus nahi aa sakte. computer ke ache jankar bhi is bat ko mante hai ki anti virus use karne se computer safe rahta hai. isliye bahut se log apne PC me anti virus dalwa kar be fikr ho jate hai or fir computer ko puri tarah anti virus par chod dete hai.
Sach Kya Hai : aajkal ayse ayse virus banaye ja rahe hai jo ache ache anti virus ko chakma de sakte hai. isliye jaruri nahi hai ki anti virus dalne ke bad aapka computer safe rahega. apne computer ko virus se bachane ke liye samay samay par anti virus se scan karte rahe. agar koi virus aa bhi jayega to anti virus uske bare me bta dega. uska pata karke delete kar de.
5. Email Ka Spam Box Open Karne Se Virus Aa Jate Hai
Gmail Spam Message
Gmail inbox me ek spam folder hota hai. usme jyadatar message ayse logo ke hote hai jinko aap nahi jante hai. log mante hai ki in message me virus hote hai or in message ko open karne se aapke computer me virus aa jate hai. isliye spam message ko kabhi bhi open nahi karna chahiye.
Sach Kya Hai : ye bat sach hai ki spam folder me aane wale message virus message bhi ho sakte hai. but spam mail ko open karne bhar se virus nahi aa sakte hai. virus tabhi aate hai jab aap un spam message me diye link ya message par click karte ho. so aap spam box ko nider ho kar open kar sakte ho. bas message me diye link par click mat karna chahiye.
6. Anti Virus Install Karne Se Data Restore Ho Jata Hai
Anti Virus Don't Recover Data
Bahut se log mante hai ki computer ka jo data virus ki wajah se delete ho jata hai. use computer me anti virus install kar ke wapis paya ja sakta hai. yani virus ki crapt ki gayi files ko anti virus se wapis theek kiya ja sakta hai.
Sach Kya Hai : kisi bhi anti virus me data recovery ka option nahi hota hai. anti virus sirf aapke computer ki security ke liye hote hai. so anti virus se aapke computer me mojood data ko delete hone se safe  rakh sakte hai. delete kiye gaye data ko recover nahi kar sakte hai.
7. Ek Bar Delete Hone Par Data Recover Nahi Ho Sakta Hai
Computer data recovery software
Jin logo ko computer ki jyada jankari nahi hoti hai. wo ye mante hai ki ek bar computer me se jo data delete kar de ya delete ho jata hai. wo fir wapis nahi mil sakta hai. yani jab koi folder compter me se delete ho jata hai to wo recycle bin me chala jata hai or recycle bin me se delete karne ke bad wo data humesha ke liye delete ho jata hai. uske bad use recover nahi kya ja sakta hai.
Sach Kya Hai : User is bat ko isliye mante hai ki ek bar delete kiya gaya data unhe computer me kahi nazar nahi aata hai. ayse me wo samajh lete hai ki ab to ye data humesha ke liye delete ho gaya hai. magar ye sach nahi hai. actually computer ki hard drive me aysi technology hoti hai jisse hard disk me se koi bhi data delete hone par bhi wo humesha ke liye delete nahi hoti hai. wo hard disk me hi rahti hai. bas wo aapko dikhayi nahi deti hai.
Computer ki file ke permanet delete hone ke bad bhi wo hard disk me save rahti hai. ayse me use Data Recover Software ki help se wapis recover kiya ja sakta hai. magar ye kaam har koi nahi kar sakta hai. aap kisi expert person se data recover karwa sakte hai. examply aap computers sell karne wali shoap par ja kar data recover karwa sakte hai.
8. Computer Ko Humesha On/Off Karke Hi Chodna Chahiye
Don't leave PC On
Bahut se log ye bat kahte hai ki jab aapka kam khatm ho to computer ko band karke rakhna hi jaruri hota hai. wearna aapka computer ya laptop kharab ho sakta hai. isliye galti se bhi computer or laptop ko chalu nahi chodna chahiye.
Sach Kya Hai : Ye bat bilkul galat hai. actually computer or laptop dono me aysa system hota hai ki jab aap us par kam karna band kar donge to ek nischit time ke bad computer sleep mode par chala jata hai or computer ki total perocessing band ho jati hai. ye computer ko band karne jaisa hi hota hai. bas fark itna hai ki computer ko off karke chalu karoge to wo fir se shuru se start hoga or sleep mode par hone par chalu karoge to usme wo sab data open hoga jo aap pahle chod kar gaye the. so user chahe to apne computer, laptop ko kitne time tak bhi chalu chod sakta hai. wo chahe to computer ko on chod kar kahi ja bhi sakta hai or 4-5 days computer ko open chod sakta hai.
9. Notification Aane Par Update Karna Jaruri Hota Hai
Don't Update Copyright Windows
Kuch log mante hai ki computer ya laptop ko notification milne par turant update karna chahiye. isse system safe rahta hai. update available hone par update na karne se computer system kharab ho sakta hai. isliye windows or dusri koi bhi updating notification milne par use upgrade karna jaruri hota hai.
Sach Kya Hai : Ye bat sirf originol windows users ke liye important hai. or wo bhi notification milne par update na kare to koi problem nahi hai. wo sirf apni jarurat ki updating ko update kar sakte hai or baki ko ignore kar sakte hai.
Copyright Windows user ko windows update karne ki koi jarurat nahi hoti hai or hum copyright window ko update kar bhi nahi sakte hai. ayse me agar aapko windows update ki notification milti hai to aapko use update karna koi jaruri nahi hai.
80% log copyright windows use karte hai. agar aapke computer ya laptop me originol windows hai ti aapke computer ke CPC or laptop me us windows ka sticker laga hoga.
10. Error Aane Ka Matlab Computer Me Virus Aa Gaya
Computer Error Message
Bahut se log mante hai ki jab computer me erro aane lag jaye to uski wajah birus hote hai. jaise video player, mp3 player, internet browser and other kisi bhi folder ko open hone par error aana ya kisi file ko open hi nahi karna. aysa hone par log man lete hai ki unke computer ko virus ne kharab kar diya hai.
Sach Kya Hai : Computer ke error dikhane ka matlab virus ho ye jaruri nahi hai. iski kuch or bhi wajah ho sakti hai. ho sakta hai aapka computer jis folder ko open nahi kar raha ya open karne par error bta raha hai. wo crapt ho gaya ho. kei bar computer me mojud files ke crapt hone par bhi error message aata hai. isliye error aane ka mtalab computer me virus aane se bilkul nahi hota hai.

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट