Payoneer Kya Hai or Payoneer Par Account Kaise Banate Hai
Payoneer Kya Hai or Payoneer Par Account Kaise Banate Hai
Payoneer kya hai. Payoneer paypal ki tarah international money transfer karne ki financial services company hai jisse hum USA, UK other country se payment recieve kar sakte hai. payoneer aapke dollar ke payment ko INR (Indian Rupees) me convert kar aapko send karti hai. payoneer ek empowers global commerce hai jise bussiness, professionals, countries and currencie ke liye cross-border payments hwel ke liye banaya gya hai. chaliye aaj mai aapko btata hu ki payoneer kya hai or ye kaam kaise karta hai.
Paypal ki tarah hi ab hum payoneer ke throw videsh se apna paymen recieve kar sakte hai. aap chahe to adsense se ki gayi income bhi payoneer me transfer kar sakte ho.
Payoneer Kya Hai?
Payoneer ko Yuval Tal ne 2005 me launch kiya tha. ye ek online money transfer karne ki service hai. jisse hum other countries se payment recieve kar sakte hai. aaj payoneer milions bussiness man se juda hua hai or lagbhag 200 countries me available hai. iski sabse acho bat ye hai ki ye payment ko country money me badalne ka bahut kam charge leti hai. yani aapki dollar ki income ko indian rupees me transfer karne ke liye ye bahut kam charge leti hai.
Payoneer professionas Offer For India
Payoneer india me freelancers, professionals and business-owner ko US or EU companies. Payoneer’s US, EU and UK se payment recieve karne ka offer deta hai. jinse hum direct apne bank account me money transfer kar sakte hai. aap jis country ke ho payoneer us country ki money me automatically money convert kar deta hai. or aapke bank me aapko apne desh ka paisa milta hai. iska payoneer low fees leta hai.
Payoneer Ki Payment Limit Kya Hai
Mai payoneer se kam se kam (minimum) kitne or jyada se jyada (maximum) kitne paise recieve kar sakta hu. ye janna bahut jarur hai to mai aapko bta du ki aap payoneer se ek bar me minium kitne bhi paise nikal sakte ho. or miximum 5,00,000 rupees nikal sakte ho. agar aap mahine ke bare me janna chahate ho to aap ek mahine me maximum 25,00,000 rupees money recieve kar sakte ho.
Kya Mai Payoneer Ko Paypal Or Other e-wallets Sath Use Kar Sakta Hu
Nahi, aap payoneer ko paypal or dusre e-wallets service ke sath use nahi kar sakte or na hi inme payment transfer kar sakte ho.
Payoneer India Me Payment Kaise Karta Hai
Jab aap payoneer par profile banaoge to aapki profile banne ke bad aapko payoneer me apni bank account details add karni hai. uske bad payoneer 24 hours ke andar aapke bank account me money send kar dega.
Payoneer Par Accunt Kaise Banaye Hindi Me Jane
Ab aap ye to jan chuke hai ki payoneer kya hai or ye kaise kaam karta hai. to chaliye ab jante hai ki payoneer par accont kaise banate hai.
Step 1:
Sabse pahle aap payoneer.com site par jaye. or Sign Up & Earn $25 par click kare.
- agar aapko khud ke liye account banana hai to Individual or company ke liye banana hai to Company par select kare.
- apna name enter kare.
- apna surename enter kare.
- apni email id enter kare.
- apni birthday date set kare.
- Next par click kare.
Step 2:
- apna country select kare. india hai to india select kare.
- apna address enter kare.
- apna city ka name likhe.
- postal yani pin code enter kare.
- apna mobile number add kare.
- Next par click kare.
Step 3:
- apna email check kar le sahi hai ya nahi.
- apna password selct kare. password me 7 word se jyada ne ho or ek numbirc word hona chahiye. jaise 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 0 etc.
- apne hisab se security question select kare or uks answer add kare. yad rahe ye answer aapse bad me bhi pucha jayega.
- Next par click kare.
Step 4: Ab jo page khulega. usme aapko apne bank account ki details bharni hai.
- apna bank account type select kare. or country or money details add kare.
- aapka account jis bank me hai us bank ka name add kare.
- apna bank account name add kare.
- apna bank account number enter kare.
- apni bank ke IFSC code enter kare. (IFSCcode aapki bank passbook par likhe hote hai.)
- account type select kare.
- Payoneer privacy policy or terms ke samne tick kare.
- finaly Finish par click kare.
Ab aapka payoneer account ban chuka hai. ek bar apni email ID confirm jarur kar le. ab aap USA and jo bhi payoneer me available ho un sabhi countries se payment recieve kar sakte ho. payoneer kya hai or is par account kaise banate hai ki jankari aapko hindi me mil chuki hai. ab aap bhi is post ko share karke humari help karna na bhoole.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
All Net Tip